jabīñ pe gard hai chehra ḳharāsh meñ Duubā
huā ḳharāb jo apnī talāsh meñ Duubā
qalam uThāyā to sar par kulāh-e-kaj na rahī
ye shahryār bhī fikr-e-ma.āsh meñ Duubā
jhale hai pañkhā ye zaḳhmoñ pe kaun aaTh pahar
milā hai mujh ko nafas irti.āsh meñ Duubā
ise na kyuuñ tirī dildārī-e-nazar kahiye
vo neshtar jo dil-e-pāsh-pāsh meñ Duubā
'fazā' hai ḳhāliq-e-sub.h-e-hayāt phir bhī ġharīb
kahāñ kahāñ na ufuq kī talāsh meñ Duubā