har ik qayās haqīqat se dūr-tar niklā
kitāb kā na koī dars mo'tabar niklā
nafas tamām huā dāstān ḳhatm huī
jo thā tavīl vahī harf muḳhtasar niklā
jo gard saath na uḌtī safar na yuuñ kaTtā
ġhubār-e-rāhguzar mauj-e-bāl-o-par niklā
mujhe bhī kuchh na.e teshe sambhālne hī paḌe
purāne ḳhol ko jab vo bhī toḌ kar niklā
fazā kushāda nahīñ qatl-gāh kī ye kahāñ
mire lahū kā parinda uḌaan par niklā
vo aadmī ki jo mahmil thā āftāboñ kā
ba-qadr-e-yak-do kaf-e-ḳhāk-e-rahguzar niklā
ye raat jis ke liye maiñ ne jaag kar kaaTī
milā vo shaḳhs to ḳhvāboñ kā ham-safar niklā
uḌhā dī chādar-e-ismat ise ḳhayāloñ ne
har ek lafz zabāñ se barahna-sar niklā
'fazā' tum uljhe rahe fikr o falsafe meñ yahāñ
ba-nām-e-ishq vahāñ qur.a-e-hunar niklā