rā.egāñ sab kuchh huā kaisī basīrat kyā hunar
gard gard apnī basīrat ḳhaak ḳhaak apnā hunar
jis taraf dekho hujūm-e-chehra-e-be-chehragāñ
kis ghane jañgal meñ yaaro gum huā sab kā hunar
ab hamārī muTThiyoñ meñ ek jugnū bhī nahīñ
chhīn kar be-rahm mausam le gayā saarā hunar
toḌ kar is ko bhī ab koī havā le jā.egī
ye jo barg-e-sabz ke mānind hai merā hunar
ab kahāñ dil ke lahū meñ bhīgī bhīgī āgahī
jeb meñ ham bhī liye phirte haiñ māñge kā hunar
dekhnā haiñ khelne vāloñ kī chābuk-dastiyāñ
taash kā pattā sahī merā hunar terā hunar
garmi-e-pahlū yahī tashkīk o lā-ilmī kī aañch
zauq-e-gumshudgī se ham haiñ bā-ḳhabar yā bā-hunar
bas yahī ḳhākistar-e-jāñ hai yahāñ apnī shanāḳht
ho gayā saarā badan jab raakh to chamkā hunar
shaḳhsiyat kā ye tavāzun terā hissa hai 'fazā'
jitnī saada hai tabī.at utnā hī tīkhā hunar