Josh Malihabadi

aazada-manish rah duniya mein parwa-e-ummid-o-bim na kar

Josh Malihabadi

1898-1982
āzāda-manish rah duniyā meñ parvā-e-ummīd-o-bīm na kar
jab tak na mileñ fitrat ke qadam ḳham dekh sar-e-taslīm na kar
siine meñ hai us ke soz agar shaitāñ ke qadam le āñkhoñ par
begāna-e-dard-e-dil hai agar jibrīl kī bhī tāzīm na kar
kitnī hī shuā.eñ abr meñ hoñ ḳhurshīd-e-junūñ par īmāñ lā
kitne hī dalā.el raushan hoñ dānish ko kabhī taslīm na kar
sāñchoñ meñ barābar Dhaltā jā raftār-e-jahāñ se pher na muñh
tansīḳh to kyā is daftar meñ jiinā hai to kuchh tarmīm na kar
ai 'josh' hujūm-e-kulfat meñ fariyād o fuġhāñ se kaam na le
ghaT jā.egā is se dil kā asar ajzā-e-tapish taqsīm na kar
Top Urdushayar.com