Faza Ibn e Faizi

chhanw ko takte dhup mein chalte ek zamana bit gaya

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009
chhāñv ko takte dhuup meñ chalte ek zamāna biit gayā
hasratoñ kī āġhosh meñ palte ek zamāna biit gayā
aaj bhī haiñ vo sulge sulge tere lab o aariz kī tarah
jin zaḳhmoñ par pañkhā jhalte ek zamāna biit gayā
maiñ ab apnā jism nahīñ huuñ sirf tumhārā saaya huuñ
mausam kī ye barf pighalte ek zamāna biit gayā
ab tak apne haath na aayā surma.ī chhāñv kā dāman bhī
chāñdī jaisī dhuup meñ jalte ek zamāna biit gayā
vaqt madārī hai kyā jaane khel apnā kab ḳhatm kare
sāñsoñ kī is Dor pe chalte ek zamāna biit gayā
zindagī aur lamhoñ kā ta.āqub jin kā koī or na chhor
sadiyoñ sadiyoñ moḌ badalte ek zamāna biit gayā
ab bhī tirī mehrāb-e-suḳhan meñ sham.eñ sī raushan haiñ 'fazā'
sūraj ko ye aag ugalte ek zamāna biit gayā
Top Urdushayar.com