Faza Ibn e Faizi

muddaton ke baad phir kunj-e-hira raushan hua

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009
muddatoñ ke baad phir kunj-e-hirā raushan huā
kis ke lab par dekhnā harf-e-duā raushan huā
ruuh ko ālā.ish-e-ġham se kabhī ḳhālī na rakh
yaanī be-zangār kis kā aa.inā raushan huā
ye tamāshā dīdanī Thahrā magar dekhegā kaun
ho ga.e ham raakh to dast-e-duā raushan huā
raat jañgal kā safar sab ham-safar bichhḌe hue
de na ham ko ye bashārat rāstā raushan huā
ḳhvāhishoñ ḳhvāboñ kā paikar hī sahī merā vajūd
ik sitāre kī haqīqat kyā bujhā raushan huā
bū-e-gul pattoñ meñ chhuptī phir rahī thī der se
nā-gahāñ shāḳhoñ meñ ik dast-e-sabā raushan huā
is qadar mazbūt mausam par rahī kis kī giraft
maiñ ki mujh se sīna-e-āb-o-havā raushan huā
ik zarā us se baḌhī qurbat to āñkheñ khul ga.iiñ
us ke mere biich thā jo fāslā raushan huā
vaqt ne kis aag meñ itnā jalāyā hai mujhe
jis qadar raushan thā maiñ us se sivā raushan huā
mujh ko merī āgahī āñkhoñ se ojhal kar ga.ī
us ne jo kuchh lauh-e-jāñ par likh diyā raushan huā
ai 'fazā' itnī kushāda kab thī ma.anī kī jihat
mere lafzoñ se ufuq ik dūsrā raushan huā
Top Urdushayar.com