Faza Ibn e Faizi

udas dekh ke wajh-e-malal puchhega

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009
udaas dekh ke vaj.h-e-malāl pūchhegā
vo mehrbāñ nahīñ aisā ki haal pūchhegā
javāb de na sakoge palaT ke maazī ko
ik ek lamha vo chubhte savāl pūchhegā
diloñ ke zaḳhm dahan meñ zabāñ nahīñ rakhte
to kis se zā.iqa-e-indimāl pūchhegā
kabhī to lā ke milā mujh se mere qātil ko
jo sar hai dosh pe tere vabāl pūchhegā
ye kyā ḳhabar thī ki siine ke daaġh lau deñge
koī jo mehnat-e-fan kā ma.aal pūchhegā
tū harf-e-ishq-o-basīrat hai lab na sī apne
zamāna tujh se bhī terā ḳhayāl pūchhegā
mujhe tarāsh ke rakh lo ki aane vaalā vaqt
ḳhazaf dikhā ke guhar kī misāl pūchhegā
banā ke phuul kī ḳhushbū phirā.egī sadiyoñ
havā se kaun rah-e-e'tidāl pūchhegā
ye ek pal jo hai maj.hūl shaḳhs kī sūrat
mizāj-e-āgahi-e-māh-o-sāl pūchhegā
yahāñ ta.ayyun-e-aqdār bhī zarūrī hai
ḳhud apne mushk kī qīmat ġhazāl pūchhegā
mirā qalam abdiyat kī raushnī hai 'fazā'
is āftāb ko ab kyā zavāl pūchhegā
Top Urdushayar.com