mujhe manzūr kāġhaz par nahīñ patthar pe likh denā
haTā kar mujh ko tum manzar se pas-manzar pe likh denā
ḳhabar mujh ko nahīñ maiñ jism huuñ yā koī saayā huuñ
zarā is kī vazāhat dhuup kī chādar pe likh denā
usī kī diid se mahrūm jis ko dekhnā chāhūñ
mirī āñkhoñ ko us ke ḳhvāb-gūñ paikar pe likh denā
isī miTTī kā ġhamza haiñ ma.ārif sab haqā.eq sab
jo tum chāho to is jumle ko lauh-e-zar pe likh denā
bahut nāzuk haiñ mere sarv qāmat teġhzan logo
hazīmat ḳhurdgī merī saf-e-lashkar pe likh denā
kabhī maiñ bhī uḌāneñ bharne vaalā thā bahut ūñchī
mirī pahchān isī TuuTe hue shahpar pe likh denā
sarāboñ ke safar se tū nahīñ lauTā 'fazā' ab tak
jo ḳhat likhnā to itnī baat us ke ghar pe likh denā