Faza Ibn e Faizi

lahu hamari jabin ka kisi ke chehre par

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009
lahū hamārī jabīñ kā kisī ke chehre par
ye rūp-ras bhī sahī zindagī ke chehre par
abhī ye zaḳhm-e-masarrat hai nā-shagufta sā
chhiḌak do mere kuchh aañsū hañsī ke chehre par
navā kī gard huuñ mujh ko sameT kar le jā
bikhar na jā.ūñ kahīñ ḳhāmushī ke chehre par
is inqilāb pe kis kī nazar ga.ī hogī
ġhamoñ kī dhuup khilī hai ḳhushī ke chehre par
hazīmatoñ ke kis amboh meñ haiñ gum ham log
koī vaqār nahīñ aadmī ke chehre par
ḳharāsh-e-dard kā ā.īna huuñ mujhe dekho
ye bāñkpan bhī kahāñ hai kisī ke chehre par
bahut harīs haiñ dīda-varān-e-chehra 'fazā'
naqāb Daal ke chal āgahī ke chehre par
Top Urdushayar.com