yuuñ Dhal gayā hai dard meñ darmāñ kabhī kabhī
naġhme bane haiñ girya-e-pinhāñ kabhī kabhī
hauñkī haiñ bād-e-sub.h kī rau meñ bhī āñdhiyāñ
ublā hai sāhiloñ se bhī tūfāñ kabhī kabhī
baḌhtā chalā gayā huuñ unhī kī taraf kuchh aur
yuuñ bhī huā huuñ un se gurezāñ kabhī kabhī
āñchoñ meñ gungunāte haiñ gulzār gaah gaah
sho.aloñ se paT gayā hai gulistāñ kabhī kabhī
lai se nikal paḌī hai kabhī hichkiyoñ kī fauj
aaheñ banī haiñ raag kā unvāñ kabhī kabhī
dāmān-e-gul-ruḳhāñ kī uḌā dī haiñ dhajjiyāñ
phāḌā hai ham ne yuuñ bhī garebāñ kabhī kabhī
kaliyāñ jhulas ga.ī haiñ dahakne lage haiñ phuul
yuuñ bhī chalī hai bād-e-bahārāñ kabhī kabhī
us vaqt bhī ki ḳhātir-e-majmūa thī nasīb
kam-baḳht dil huā hai pareshāñ kabhī kabhī