ye nasīb-e-shā.irī hai zahe shān-e-kibriyā.ī
ki mile na zindagī bhar mujhe dād-e-ḳhush-navā.ī
ba-ḳhudā azīm-tar hai shohdā ke ḳhuun se bhī
mire sīna-e-qalam meñ jo bharī hai raushnā.ī
ye ajiib mājrā hai ki ḳhadyau-e-haft-qulzūm
taraf-e-sarāb dauḌe pai-e-qismat-āzmā.ī
falak aur use jhukā.e sar-e-manzil-e-safīhāñ
malak aa.eñ jis ke dar par ba-havā-e-jab.ha-sā.ī
chaman-e-shu.ūr-e-nau ko jo lahū se apne sīñche
kabhī us ko sukh na baḳhshe koī panja-e-hinā.ī
hama saaz huuñ ba-zāhir hama soz huuñ ba-bātin
mirī zindagī bukā.ī mirī shā.irī ġhinā.ī
mire taar o paud larzāñ ba-havā-e-nā-murādī
mire ḳhadd-o-ḳhāl daraḳhshāñ ba-tabassum-e-riyā.ī
mirā dil hai girya maskan mire lab tarāna manzil
mirī nai shikast-e-ḳhātir mirī lai hai momyā.ī
mirā jām-e-shab sulemāñ hama tāj-e-ḳhusravāna
mirī chashm-e-roz paimā hama kāsa-e-gadā.ī
mirī bārgāh-e-hastī hama ijz bandagāna
mirī bārgāh-e-mastī hama satvat-e-ḳhudā.ī
dar-e-ḳhalq par jhukā hai na jhukegā tā qayāmat
sar-e-'josh' meñ bharā hai vo ġhurūr-e-kibriyā.ī