zālim ye ḳhamoshī bejā hai iqrār nahīñ inkār to ho
ik aah to nikle toḌ ke dil naġhme na sahī jhankār to ho
har saañs meñ sad.hā naġhme haiñ har zarre meñ lākhoñ jalve haiñ
jaañ mahv-e-rumūz-e-sāz to ho dil jalva-gah-e-anvār to ho
shāḳhoñ kī lachak har fasl meñ hai saaqī kī jhalak har rañg meñ hai
sāġhar kī khanak har zarf meñ hai maḳhmūr to ho sarshār to ho
kyūñkar na shab-e-mah raushan ho kyuuñ sub.h na dāman chaak kare
kuchh vasf-e-rumūz-e-husn to ho kuchh sharh-e-jamāl-e-yār to ho
siine meñ ḳhatā.eñ muztar haiñ in.aam kā vo iqrār kareñ
mansūr hazāroñ ab bhī haiñ ai 'josh' sile meñ daar to ho