kuchh darja aur garmī-e-bāzār ho buland
dil bechiye ki zauq-e-ḳharīdār ho buland
bāb-e-qubūl band hai dast-e-talab par ab
rab chāhtā hai pā-e-talabgār ho buland
jhuk jā.egā subū bhī koī jaam to uThā.e
daana hai muntazir koī minqār ho buland
dekhī thī jis ne pyaas vo paanī to bah chukā
imkāñ nahīñ ki parcham-e-inkār ho buland
nāḳhūn bheḌiyoñ ke to baḌhte hī jaate haiñ
koī kamāñ uThe koī talvār ho buland
mujh ko ba-qadr-e-tesha nahīñ sañg-e-rahguzār
'arshad' mire liye koī kohsār ho buland