āñkhoñ meñ ḳhvāb rakh diye ta.abīr chhīn lī
us ne ḳhitāb baḳhsh ke jāgīr chhīn lī
ġham ye nahīñ ki baḳht ne barbād kar diyā
ġham hai to ye ki ḳhvāhish-e-ta.amīr chhīn lī
dastār-e-maslahat to yuuñ bhī sar pe bojh thī
achchhā kiyā ki tum ne ye tauqīr chhīn lī
ye kis kī bad-duā kī hai tāsīr yā-ḳhudā
jis ne mirī duāoñ se tāsīr chhīn lī
qadr-o-qazā kā zikr kuchh is tarah se kiyā
vaa.iz ne nok-e-nāḳhun-e-tadbīr chhīn lī
shohrat milī thī jur.at-e-taqrīr se jise
shohrat ne us se jur.at-e-taqrīr chhīn lī
but ban gayā to us kī namī ḳhatm ho ga.ī
bhaktoñ ne us kī ḳhaak se iksīr chhīn lī
andesha-e-itāb se yaar aur Dar ga.e
qātil se ham ne baḌh ke jo shamshīr chhīn lī
be-nutq thī to kahtī thī kyā kyā na dāstāñ
goyā.ī ne to hairat-e-tasvīr chhīn lī
rahne lagā hai vo baḌā chup chup sā in dinoñ
'arshad' se kis ne shoḳhī-e-taqrīr chhīn lī