Arshad Jamal Hashmi

sapedi rang-e-jahan mein nahin milata hun

Arshad Jamal Hashmi

Kankinara, West Bengal, India

1965
sapedī rañg-e-jahāñ meñ nahīñ milātā huuñ
haqīqatoñ ko gumāñ meñ nahīñ milātā huuñ
sarishk-e-ġham rag-e-jāñ meñ nahīñ milātā huuñ
maiñ zahr āb-e-ravāñ meñ nahīñ milātā huuñ
jo kah diyā ki tirā huuñ to sirf terā huuñ
maiñ jhuuT apne bayāñ meñ nahīñ milātā huuñ
tamām-shahr tirī haañ meñ haañ milātā hai
akelā maiñ tirī haañ meñ nahīñ milātā huuñ
tumhārā ġham ġham-e-duniyā se duur rakkhā hai
kabhī maiñ suud ziyāñ meñ nahīñ milātā huuñ
guzar gayā jo tirī yaad ke baġhair kabhī
vo pal maiñ umr-e-ravāñ meñ nahīñ milātā huuñ
sañvārtā huuñ use raat jaag kar 'arshad'
maiñ ḳhvāb ḳhvāb-e-girāñ meñ nahīñ milātā huuñ
Top Urdushayar.com