us kā anjām bhalā ho ki burā ho kuchh ho
ab re.āyā hameñ rahnā nahīñ shāho kuchh ho
zaḳhm kā ek sā ye rañg nahīñ bhātā hai
ab to ye Thiik ho yā aur harā ho kuchh ho
band yādoñ ke havālāt meñ kab tak rahūñ maiñ
yā maiñ ho jā.ūñ barī yā to sazā ho kuchh ho
jism kahtā hai ki ab jaañ se guzar hī jaao
dil ye kahtā hai ki ye rishta nibāho kuchh ho
be-parastish bashariyyat nahīñ rah saktī hai
but ho mahbūb ho duniyā ho ḳhudā ho kuchh ho
ab to bistar se ye bīmār uThā chāhtā hai
kuchh to do zahr-e-halāhal ho davā ho kuchh ho
ziist 'arshad' baḌī be-kaif huī jaatī hai
chāhiye dard purānā ho nayā ho kuchh ho