baam par aatā hai hamārā chāñd
āsmāñ se kare kinārā chāñd
aap hī kī talāsh meñ sāhab
gardisheñ kartā hai gavārā chāñd
ḳhaal aur ruḳh se kis ko duuñ nisbat
aise taare na aisā pyārā chāñd
aag bhaḌkī jo ātishīñ ruḳh kī
abhī uḌ jaa.e ho ke paarā chāñd
hone to do muqābla un se
ġhul kareñge malak ki haarā chāñd
charḳh se un ko tāktā hai 'saḳhī'
jā.egā ek roz maarā chāñd