Akhtar Razaa Saleemi

KHabar nahin thi kisi ko kahan kahan koi hai

Akhtar Razaa Saleemi

Islamabad, Pakistan

1974
ḳhabar nahīñ thī kisī ko kahāñ kahāñ koī hai
har ik taraf se sadā aa rahī thī yaañ koī hai
yahīñ kahīñ pe koī shahr bas rahā thā abhī
talāsh kījiye is kā agar nishāñ koī hai
javār-e-qariya-e-girya se aa rahī thī sadā
mujhe yahāñ se nikāle agar yahāñ koī hai
talāsh kar rahe haiñ qabr se chhupāne ko
tire jahān meñ ham sā bhī be-amāñ koī hai
koī to hai jo dinoñ ko ghumā rahā hai 'razā'
pas-e-gumāñ hī sahī par pas-e-jahāñ koī hai
Top Urdushayar.com