Akhtar Razaa Saleemi

hamare jism agar raushni mein Dhal jaen

Akhtar Razaa Saleemi

Islamabad, Pakistan

1974
hamāre jism agar raushnī meñ Dhal jaa.eñ
tasavvurāt-e-zamān-o-makāñ badal jaa.eñ
hamāre biich hameñ DhūñDte phireñ ye log
ham apne-āp se aage kahīñ nikal jaa.eñ
ye kyā ba.iid kisī aane vaale lamhe meñ
hamāre lafz bhī tasvīr meñ badal jaa.eñ
ham aa.e roz nayā ḳhvāb dekhte haiñ magar
ye log vo nahīñ jo ḳhvāb se bahal jaa.eñ
ye log asiir haiñ kuchh aisī ḳhvāhishoñ ke 'razā'
jo titliyoñ kī tarah haath se nikal jaa.eñ
Top Urdushayar.com