batā.eñ kyā ki kahāñ par makān hote the
vahāñ nahīñ haiñ jahāñ par makān hote the
sunā gayā hai yahāñ shahr bas rahā thā koī
kahā gayā hai yahāñ par makān hote the
vo jis jagah se abhī uTh rahā hai gard-o-ġhubār
kabhī hamāre vahāñ par makān hote the
har ek samt nazar aa rahe haiñ Dher pe Dher
har ek samt makāñ par makān hote the
Thahar sake na 'razā' mauj-e-tund ke aage
vo jin ke āb-e-ravāñ par makān hote the