Akhtar Razaa Saleemi

dil o nigah pe tari rahe fusun us ka

Akhtar Razaa Saleemi

Islamabad, Pakistan

1974
dil o nigāh pe taarī rahe fusūñ us kā
tumhārā ho ke bhī mumkin hai maiñ rahūñ us kā
zamīñ kī ḳhaak to kab kī uḌā chuke haiñ ham
hamārī zad meñ hai ab charḳh-e-nīl-gūñ us kā
tujhe ḳhabar nahīñ is baat kī abhī shāyad
ki terā ho to gayā huuñ magar maiñ huuñ us kā
ab us se qat-e-ta.alluq meñ behtarī hai mirī
maiñ apnā rah nahīñ saktā agar rahūñ us kā
dil-e-tabāh kī dhaḌkan batā rahī hai 'razā'
yahīñ kahīñ pe hai vo shahr-e-pur-e-sukūñ us kā
Top Urdushayar.com