Akhtar Razaa Saleemi

wo husn-e-sabz jo utra nahin hai Dali par

Akhtar Razaa Saleemi

Islamabad, Pakistan

1974
vo husn-e-sabz jo utrā nahīñ hai Daalī par
farefta hai kisī phuul chunñe vaalī par
maiñ hal chalāte hue jis ko sochā kartā thā
usī kī gandumī rañgat hai baalī baalī par
ye log sair ko nikle haiñ so bahut ḳhush haiñ
maiñ dil-e-girafta huuñ sabze kī pā.emālī par
ik aur rañg milā aa ke saat rañgoñ meñ
shuā-e-mahr paḌī jab se terī baalī par
maiñ khul ke saañs bhī letā nahīñ chaman meñ 'razā'
mubādā baar guzartā ho sabz Daalī par
Top Urdushayar.com