Akhtar Razaa Saleemi

tumhaare hone ka shayad suragh pane lage

Akhtar Razaa Saleemi

Islamabad, Pakistan

1974
tumhāre hone kā shāyad surāġh paane lage
kanār-e-chashm ka.ī ḳhvāb sar uThāne lage
palak jhapakne meñ guzre kisī falak se ham
kisī galī se guzarte hue zamāne lage
mirā ḳhayāl thā ye silsila diyoñ tak hai
magar ye log mire ḳhvāb bhī bujhāne lage
na-jāne raat tire mai-kashoñ ko kyā sūjhī
subū uThāte uThāte falak uThāne lage
vo ghar kare kisī dil meñ to ain mumkin hai
hamārī dar-badarī bhī kisī Thikāne lage
maiñ gungunāte hue jā rahā thā naam tirā
shajar hajar bhī mire saath gungunāne lage
hudūd-e-dasht meñ ābādiyāñ jo hone lagīñ
ham apne shahr meñ tanhā.iyāñ basāne lage
dhuāñ dhanak huā añgār phuul bante ga.e
tumhāre haath bhī kyā mo.ajaze dikhāne lage
'razā' vo ran paḌā kal shab ba-razm-gāh-e-junūñ
kulāheñ chhoḌ ke sab log sar bachāne lage
Top Urdushayar.com