apne meñ jo ab bhūle se kabhī rāhat kā taqāzā paatā hai
hālāt pe mere kar ke nazar dil mujh se bahut sharmātā hai
uljhan meñ yakāyak hotī hai dam ruktā hai dil bhar aatā hai
jab koī tasallī detā hai kuchh aur bhī jī ghabrātā hai
ārām sarakne vaalā hai kis shai pe ye ġharra hai tujh ko
duniyā ye badalne vaalī hai kis chiiz pe tū itrātā hai
elaan sahar ko hotā hai yuuñ husn kī shāhanshāhī kā
gardūñ pe sunahrā ik parcham mashriq kī taraf lahrātā hai
andāz-o-adā se ai duniyā tū laakh sañvar kar sāmne aa
ye 'josh' faqīr āzād-manash jab dhyān meñ tujh ko laatā hai