Josh Malihabadi

qadam insan ka rah-e-dahr mein tharra hi jata hai

Josh Malihabadi

1898-1982
qadam insāñ kā rāh-e-dahr meñ tharrā hī jaatā hai
chale kitnā hī koī bach ke Thokar khā hī jaatā hai
nazar ho ḳhvāh kitnī hī haqā.eq-āshnā phir bhī
hujūm-e-kashmakash meñ aadmī ghabrā hī jaatā hai
ḳhilāf-e-maslahat maiñ bhī samajhtā huuñ magar nāseh
vo aate haiñ to chehre par taġhayyur aa hī jaatā hai
havā.eñ zor kitnā hī lagā.eñ āñdhiyāñ ban kar
magar jo ghir ke aatā hai vo bādal chhā hī jaatā hai
shikāyat kyuuñ ise kahte ho ye fitrat hai insāñ kī
musībat meñ ḳhayāl-e-aish-e-rafta aa hī jaatā hai
shagūfoñ par bhī aatī haiñ balā.eñ yuuñ to kahne ko
magar jo phuul ban jaatā hai vo kumhlā hī jaatā hai
samajhtī haiñ ma.āl-e-gul magar kyā zor-e-fitrat hai
sahar hote hī kaliyoñ ko tabassum aa hī jaatā hai
Top Urdushayar.com