kunj-e-izzat se uTho sub.h-e-bahārāñ dekho
dosto naġhmagaro raqs-e-ġhazālāñ dekho
miT gayā rāh-guzāroñ se har ik naqsh-e-ḳhizāñ
varaq-e-gul pe likhe ab na.e unvāñ dekho
mutribāñ bahr-e-qadam-bosī-e-shīrīñ-suḳhanāñ
mahfil-e-gul meñ chalo jashn-e-bahārāñ dekho
muzhda phir ḳhāk-e-ḳhizāñ-rañg kī qismat jaagī
aa gayā jhuum ke abr-e-guhar-afshāñ dekho
ham-navā ho ke mire tum bhī ġhazal-ḳhvāñ ho jaao
jo lab-e-jū-e-ravāñ sarv-ḳhirāmāñ dekho
ye julūs-e-gul-o-raihāñ hai kahāñ na.ara-zanāñ
uTh ke darvāze se bāhar to mirī jaañ dekho