Shamsher Khan

rafiqon ko madad karne pukara hum nahin karte

Shamsher Khan

Mumbai, Maharashtra, India

1984
rafīqoñ ko madad karne pukārā ham nahīñ karte
ḳhudā kaafī hai bandoñ kā sahārā ham nahīñ karte
zabāñ ye haq kī aadī hai kisī se Dar nahīñ saktī
sabhī kuchh khul ke kahte haiñ ishāra ham nahīñ karte
samundar meñ utar ke ruḳh havā kā moḌ dete haiñ
kabhī sāhil se tūfāñ kā nazāra ham nahīñ karte
ye ḳhuddārī hamārī ham ko apnī jaañ se pyārī hai
jhukā ke sar ko TukḌoñ par guzārā ham nahīñ karte
sabaq lete haiñ ham apnī ḳhatā se ilm paate haiñ
ḳhatā jo ham se ho jaa.e dobāra ham nahīñ karte
baḌī mushkil se sīkhā hai sabaq ham ne siyāsat kā
tujhe qadmoñ meñ rakhte haiñ sitāra ham nahīñ karte
hamārī jeb ḳhālī hai to kyā ye dil hai shāhoñ kā
faqīrī meñ bhī muflis se kināra ham nahīñ karte
ye mumkin hai ki kuchh kaḌvī lageñ 'shamsher' kī bāteñ
khare alfāz likhte haiñ ye aarā ham nahīñ karte
Top Urdushayar.com