Josh Malihabadi

meri haalat dekhiye aur unki surat dekhiye

Josh Malihabadi

1898-1982
merī hālat dekhiye aur un kī sūrat dekhiye
phir nigāh-e-ġhaur se qānūn-e-qudrat dekhiye
sair-e-mahtāb-o-kavākib se tabassum tā-bake
ro rahī hai vo kisī kī sham-e-turbat dekhiye
aap ik jalva sarāsar maiñ sarāpā ik nazar
apnī hājat dekhiye merī zarūrat dekhiye
apne sāmān-e-ta.ayyush se agar fursat mile
bekasoñ kā bhī kabhī tarz-e-ma.īshat dekhiye
muskurā kar is tarah aayā na kiije sāmne
kis qadar kamzor huuñ maiñ merī sūrat dekhiye
aap ko laayā huuñ vīrānoñ meñ ibrat ke liye
hazrat-e-dil dekhiye apnī haqīqat dekhiye
sirf itne ke liye āñkheñ hameñ baḳhshī ga.iiñ
dekhiye duniyā ke manzar aur ba-ibrat dekhiye
maut bhī aa.ī to chehre par tabassum hī rahā
zabt par hai kis qadar ham ko bhī qudrat dekhiye
ye bhī koī baat hai har vaqt daulat kā ḳhayāl
aadmī haiñ aap agar to ādmiyat dekhiye
phuuT niklegā jabīñ se ek chashma husn kā
sub.h uTh kar ḳhanda-e-sāmān-e-qudrat dekhiye
rash.ha-e-shabnam bahār-e-gul faroġh-e-mehr-o-māh
vaah kyā ash.ār haiñ dīvān-e-fitrat dekhiye
is se baḌh kar aur ibrat kā sabaq mumkin nahīñ
jo nashāt-e-zindagī the un kī turbat dekhiye
thī ḳhatā un kī magar jab aa ga.e vo sāmne
jhuk ga.iiñ merī hī āñkheñ rasm-e-ulfat dekhiye
ḳhush-numā yā bad-numā ho dahr kī har chiiz meñ
'josh' kī taḳh.īl kahtī hai ki nudrat dekhiye
Top Urdushayar.com