Josh Malihabadi

dur-andesh marizon ki ye aadat dekhi

Josh Malihabadi

1898-1982
dūr-andesh marīzoñ kī ye aadat dekhī
har taraf dekh liyā jab tirī sūrat dekhī
aa.e aur ik nigah-e-ḳhās se phir dekh ga.e
jabki aate hue bīmār meñ tāqat dekhī
quvvateñ zabt kī har chand sambhāle thiiñ mujhe
phir bhī Darte hue maiñ ne tirī sūrat dekhī
mahfil-e-hashr meñ ye kaun hai mīr-e-majlis
ye to ham ne koī dekhī huī sūrat dekhī
sab ye kahte haiñ use ab koī āzār nahīñ
kyuuñ sitamgār mire zabt kī quvvat dekhī
sone vāloñ pe na chamkā kabhī nūr-e-saharī
rone vāloñ hī ke chehroñ pe sabāhat dekhī
is qadar yaas bhī hotī hai kahīñ duniyā meñ
ro diye ham jo tirī chashm-e-ināyat dekhī
mujh ko ta.alīm se fursat hī kahāñ ai 'shabbīr'
kah liyā sher koī jab kabhī fursat dekhī
Top Urdushayar.com