aisā huā nahīñ hai par aisā na ho kahīñ
us ne mujhe na dekh ke dekhā na ho kahīñ
qadmoñ kī chaap der se aatī hai kaan meñ
koī mire ḳhayāl meñ phirtā na ho kahīñ
sankī huī havāoñ meñ ḳhushbū kī aañch hai
pattoñ meñ koī phuul dahaktā na ho kahīñ
ye kaun jhāñktā hai kivāḌoñ kī oT se
battī bujhā ke dekh saverā na ho kahīñ
'alvī' ḳhudā ke vāste ghar meñ paḌe raho
bāhar na jaao phir koī jhagḌā na ho kahīñ