Josh Malihabadi

phir aashna-e-lazzat-e-dard-e-jigar hain hum

Josh Malihabadi

1898-1982
phir āshnā-e-lazzat-e-dard-e-jigar haiñ ham
phir mahram-e-kashākash-e-har-ḳhair-o-shar haiñ ham
har saañs de rahī hai ḳhabar kā.enāt kī
phir bāda-e-jamāl se yuuñ be-ḳhabar haiñ ham
phir ishq kī nazar meñ hai māshūqiyat kā naaz
phir husn-e-dil-navāz se shīr-o-shakar haiñ ham
jiine ke ishtiyāq se hai phir ramīdgī
phir sīna-e-hayāt meñ azm-e-safar haiñ ham
hoshyār-bāsh zulmat-e-ġham-ḳhāna-e-hayāt
phir markaz-e-tajalli-e-shams-o-qamar haiñ ham
kis zom meñ hai ai shab-e-daijūr-e-zindagī
phir rāzdār-e-nūr-e-tulū-e-sahar haiñ ham
hai kis ḳhayāl-e-ḳhām meñ ai ḳhārzār-e-dahr
phir kāmrān-e-ḳhanda-e-gul-hā-e-tar haiñ ham
phir zindagī hai ġham kī amānat liye hue
har daulat-e-nashāt se phir bahra-var haiñ ham
phir faiz-e-āshiqī se ba-īñ be-bazā.atī
jeb-e-jahāñ meñ daulat-e-lāl-o-guhar haiñ ham
phir bāvajūd-e-faqr vo hāsil hai tumtarāq
tū ye kahe ki sāhib-e-tāj-o-kamar haiñ ham
āñkhoñ meñ nūr-e-mus.haf-e-jānāñ liye hue
phir kardgār-e-ishq ke paiġhām-bar haiñ ham
khulte nahīñ haiñ 'josh' dimāġhoñ pe dil ke raaz
bālā-tar az rasā.i-e-naqd-o-nazar haiñ ham
Top Urdushayar.com