raushnī kuchh to mile jañgal meñ
aag lag jaa.e ghane jañgal meñ
aap ko shahar meñ Dar lagtā hai
ham to be-ḳhauf rahe jañgal meñ
ek ik shāḳh zabāñ ho jaa.e
koī āvāz to de jañgal meñ
peḌ se peḌ lagā rahtā hai
pyaar hotā hai bhare jañgal meñ
shahar meñ kaan taraste hī rahe
chahchahe ham ne sune jañgal meñ
shaam hote hī utar aate haiñ
shoḳh pariyoñ ke pare jañgal meñ
shoḳh hirnoñ ne qulāñcheñ mārīñ
mor ke raqs hue jañgal meñ
ab bhī qadmoñ ke nishāñ milte haiñ
gaañv se duur pare jañgal meñ
ab bhī phirtī hai koī parchhā.īñ
raat ke vaqt bhare jañgal meñ
ḳhuub the hazrat-e-ādam 'alvī'
bastiyāñ chhoḌ ga.e jañgal meñ