yaar aaj maiñ ne bhī ik kamāl karnā hai
jism se nikalnā hai jī bahāl karnā hai
āñkheñ aur chehre par chaar chhe lagānī haiñ
saarā husn qudarat kā pā.emāl karnā hai
zindagī ke raste par kyuuñ khaḌā huā huuñ maiñ
aate jaate logoñ se kyā savāl karnā hai
haañ bachā luuñ thoḌā sā ḳhud ko din ke hāthoñ se
aatī raat kā bhī to kuchh ḳhayāl karnā hai
lo pachās bhī ab to ḳhair se hue puure
ye tamāshā kyā 'alvī' saaTh saal karnā hai