Mohammad Alvi

aur koi chaara na tha aur koi surat na thi

Mohammad Alvi

Ahmedabad, Gujarat, India

1927-2018
aur koī chārā na thā aur koī sūrat na thī
us ke rahe ho ke ham jis se mohabbat na thī
itne baḌe shahr meñ koī hamārā na thā
apne sivā āshnā ek bhī sūrat na thī
is bharī duniyā se vo chal diyā chupke se yuuñ
jaise kisī ko bhī ab us kī zarūrat na thī
ab to kisī baat par kuchh nahīñ hotā hameñ
aaj se pahle kabhī aisī to hālat na thī
sab se chhupāte rahe dil meñ dabāte rahe
tum se kaheñ kis liye ġham thā vo daulat na thī
apnā to jo kuchh bhī thā ghar meñ paḌā thā sabhī
thoḌā bahut chhoḌnā chor kī aadat na thī
aisī kahānī kā maiñ āḳhirī kirdār thā
jis meñ koī ras na thā koī bhī aurat na thī
sher to kahte the ham sach hai ye 'alvī' magar
tum ko sunāte kabhī itnī bhī fursat na thī
Top Urdushayar.com