sher to sab kahte haiñ kyā hai
chup rahne meñ aur mazā hai
kyā paayā dīvān chhapā kar
lo raddī ke mol bikā hai
darvāze par pahra dene
tanhā.ī kā bhuut khaḌā hai
ghar meñ kyā aayā ki mujh ko
dīvāroñ ne gher liyā hai
maiñ nāhaq din kaaT rahā huuñ
kaun yahāñ sau saal jiyā hai
aage pīchhe koī nahīñ hai
koī nahīñ to phir ye kyā hai
bāhar dekh chukūñ to dekhūñ
andar kyā hone vaalā hai
ek ġhazal aur kah lo 'alvī'
phir barsoñ tak chup rahnā hai