yuuñ to kam kam thī mohabbat us kī
kam na thī phir bhī rifāqat us kī
saare dukh bhuul ke hañs letā thā
ye bhī thī ek karāmat us kī
uljhaneñ aur bhī thiiñ us ke liye
ek maiñ bhī thā musībat us kī
pahle bhī piine ko jī kartā thā
mil hī jaatī thī ijāzat us kī
ḳhvāb meñ jaise chalā kartā huuñ
dekhtā rahtā huuñ sūrat us kī
naam rahtā hai zabāñ par us kā
ghar meñ rahtī hai zarūrat us kī
us kī aadat thī sharārat karnā
kaash ye bhī ho sharārat us kī
phailte baḌhte hue bistar meñ
DhūñDhtā rahtā huuñ qurbat us kī
ek bosīda sā ghar chhoḌ ga.ī
le ga.ī saath vo jannat us kī