Mohammad Alvi

kabhi to aisa bhi ho rah bhul jaun main

Mohammad Alvi

Ahmedabad, Gujarat, India

1927-2018
kabhī to aisā bhī ho raah bhuul jā.ūñ maiñ
nikal ke ghar se na phir apne ghar meñ aa.uuñ maiñ
bikher de mujhe chāroñ taraf ḳhalāoñ meñ
kuchh is tarah se alag kar ki juḌ na pā.ūñ maiñ
ye jo akele meñ parchhā.iyāñ sī bantī haiñ
bikhar hī jā.eñgī lekin kise dikhā.ūñ maiñ
mirā makān agar biich meñ na aa.e to
in ūñche ūñche makānoñ ko phāñd jā.ūñ maiñ
gavāhī detā vahī merī be-gunāhī kī
vo mar gayā to use ab kahāñ se lā.ūñ maiñ
ye zindagī to kahīñ ḳhatm hī nahīñ hotī
ab aur kitne dinoñ ye azaab uThā.ūñ maiñ
ġhazal kahī hai koī bhāñg to nahīñ pī hai
mushā.ere meñ tarannum se kyuuñ sunā.ūñ maiñ
are vo aap ke dīvān kyā hue 'alvī'
bike na hoñ to kabāḌī ko saath lā.ūñ maiñ
Top Urdushayar.com