ghar se bāhar kis balā kā shor thā
mere ghar meñ jaise maiñ ḳhud chor thā
maiñ ne dil meñ jhāñk kar dekhā use
phir usī kā aks chāroñ or thā
pahle nāchā aur phir rone lagā
merā dil bhī jaise koī mor thā
ghar ke andar ḳhaak khāne ko na thī
sarhadoñ par dushmanoñ kā zor thā
maiñ ne kal raste meñ dekhā thā use
mujh ko kyā mālūm thā vo chor thā
raat bhar 'alvī' ko maiñ paḌhtā rahā
yaar vo shā.er to sach-much bor thā