jaate jaate dekhnā patthar meñ jaañ rakh jā.ūñgā
kuchh nahīñ to ek do chiñgāriyāñ rakh jā.ūñgā
niiñd meñ bhī ḳhvāb rakhne kī jagah baaqī nahīñ
sochtā huuñ ye ḳhazāna ab kahāñ rakh jā.ūñgā
sab namāzeñ bāñdh kar le jā.ūñgā maiñ apne saath
aur masjid ke liye gūñgī azaañ rakh jā.ūñgā
jāntā huuñ ye tamāsha ḳhatm hone kā nahīñ
hall meñ ik roz ḳhālī kursiyāñ rakh jā.ūñgā
chāñd sūraj aur taare phūñk Dālūñgā sabhī
is zamīñ par ek nañgā āsmāñ rakh jā.ūñgā
chhoḌ dūñgā ab maiñ 'alvī' āḳhirī din kī talāsh
aur adab ke shahr meñ ḳhālī makāñ rakh jā.ūñgā