is kī baat kā paañv na sar
phir bhī charchā hai ghar ghar
chiil ne anDā chhoḌ diyā
sūraj aan girā chhat par
achchhā to shādī kar lī
jā ab bachche paidā kar
le ye patthar haath meñ le
maar ise mere sar par
phūhaḌ is mahñgā.ī meñ
aaTā to giilā mat kar
mere patte dekh zarā
do ikke aur ik joker
us kā TeḌhā uuñT na dekh
apnā ullū sīdhā kar
biivī akelī Dartī hai
shaam huī ab chaliye ghar
'alvī' 'ādil' aur 'zafar'
tīnoñ ke tīnoñ andar