har ik jhoñkā nukīlā ho gayā hai
fazā kā rañg niilā ho gayā hai
abhī do chaar hī būñdeñ girīñ haiñ
magar mausam nashīlā ho gayā hai
kareñ kyā dil usī ko māñgtā hai
ye saalā bhī haTīlā ho gayā hai
ḳhabar kyā thī ki nekī bāñjh hogī
badī kā to qabīla ho gayā hai
ḳhudā rakkhe javānī aa ga.ī hai
gunah bāñkā-sajīlā ho gayā hai
na jaane chhat pe kyā dekhā thā 'alvī'
bechārā chāñd piilā ho hai