Sakhi Lakhnvi

na-KHush jo ho gul-badan kisi ka

Sakhi Lakhnvi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1813-1876
nā-ḳhush jo ho gul-badan kisī kā
kyā bhaa.e use suḳhan kisī kā
gul kī mujhe kyuuñ kalī dikhā.ī
yaad aa gayā phir dahan kisī kā
har sañg kī koh par sadā hai
yaañ dafn hai kohkan kisī kā
karte ho pasand vahshat-e-dil
le jāoge kyā hiran kisī kā
bhūlī hai sabā qabā-e-gul par
dekhā nahīñ pairahan kisī kā
āshiq hī ke jab na kaam aayā
kis kaam kā bāñkpan kisī kā
aa jaa.e kisī kī maut mujh ko
mil jaa.e mujhe kafan kisī kā
siine se hamārā dil na le jaao
chhuḌvāte ho kyuuñ vatan kisī kā
gaate haiñ 'saḳhī' hī kī ġhazal vo
bhātā hī nahīñ suḳhan kisī kā
Top Urdushayar.com