tabassum hai vo hoñToñ par jo dil kā kaam kar jaa.e
unheñ is kī nahīñ parvā koī martā hai mar jaa.e
duā hai merī ai dil tujh se duniyā kuuch kar jaa.e
aur aisī kuchh bane tujh par ki armānoñ se Dar jaa.e
jo mauqā mil gayā to ḳhizr se ye baat pūchheñge
jise ho justujū apnī vo bechāra kidhar jaa.e
sahar ko sīna-e-ālam meñ partav Dālne vaale
tasadduq apne jalve kā mirā bātin sañvar jaa.e
pareshāñ baal karte haiñ unheñ shoḳhī se matlab hai
bikhartā hai agar shīrāza-e-ālam bikhar jaa.e
hayāt-e-dā.imī kī lahar hai is zindagānī meñ
agar marne se pahle ban paḌe to 'josh' mar jaa.e