aañkh meñ dahshat na thī haath meñ ḳhanjar na thā
sāmne dushman thā par dil meñ koī Dar na thā
us se bhī mil kar hameñ marne kī hasrat rahī
us ne bhī jaane diyā vo bhī sitamgar na thā
ik pahāḌī pe maiñ baiThā rahā der tak
shauq se dekhā karūñ aisā bhī manzar na thā
ham se jo aage ga.e kitne mehrbān the
duur talak raah meñ ek bhī patthar na thā
raat bahut der se aañkh lagtī thī zarā
niiñd meñ kamra na thā ḳhvāb meñ bistar na thā
sher to ham ne bahut Thiik kiyā thā magar
ab bhī ġhalat thā kahīñ ab bhī barābar na thā
sochā thā is baar to jā ke 'zafar' se mileñ
kyā kareñ 'alvī' magar aisā muqaddar na thā