maiñ apnā naam tire jism par likhā dekhūñ
dikhā.ī degā abhī battiyāñ bujhā dekhūñ
phir us ko pā.ūñ mirā intizār karte hue
phir us makān kā darvāza adh-khulā dekhūñ
ghaTā.eñ aa.eñ to ghar ghar ko Dūbtā pā.ūñ
havā chale to har ik peḌ ko girā dekhūñ
kitāb kholūñ to harfoñ meñ khalbalī mach jaa.e
qalam uThā.ūñ to kāġhaz ko phailtā dekhūñ
utaar pheñkūñ badan se phaTī purānī qamīs
badan qamīs se baḌh kar kaTā-phaTā dekhūñ
vahīñ kahīñ na paḌī ho tamannā jiine kī
phir ek baar unhīñ jañgaloñ meñ jā dekhūñ
vo roz shaam ko 'alvī' idhar se jaatī hai
to kyā maiñ aaj use apne ghar bulā dekhūñ