barsoñ ghisā-piTā huā darvāza chhoḌ kar
niklūñ na kyuuñ makān kī dīvār toḌ kar
paanī to ab milegā nahīñ regzār meñ
mauqa.a hai ḳhuub dekh lo dāman nichoḌ kar
ab dostoñ se koī shikāyat nahīñ rahī
din bhī chalā gayā mujhe jañgal meñ chhoḌ kar
ta.amīr se buland hai taḳhrīb kā maqām
ik se hazār ho gayā ā.īna toḌ kar
apne badan ke saath rahūñ to azaab hai
mar jā.ūñgā maiñ jā.ūñ agar is ko chhoḌ kar
kyuuñ sar khapā rahe ho mazāmīñ kī khoj meñ
kar lo jadīd shā.erī lafzoñ ko joḌ kar