sātvīñ manzil se kuudā chāhiye
ḳhud-kushī karne ko aur kyā chāhiye
apne hāthoñ apnī āñkheñ phoḌ kar
chār-sū apne ko dekhā chāhiye
aa.ine meñ koī rahtā hai zarūr
kaun hai chupke se pūchhā chāhiye
niiñd ke kamre meñ dam ghuTne lagā
ḳhvāb kī khiḌkī ko kholā chāhiye
'faiz'-sāhib sher kyuuñ kahte nahīñ
'faiz'-sāhib sher kahnā chāhiye
tum se biivī ko shikāyat ho agar
to 'salīm'-ahmad ko paḌhnā chāhiye
aao 'alvī' us ke ghar kī battiyāñ
bujh ga.iiñ ab ghar ko chalnā chāhiye