sach hai ki vo burā thā har ik se laḌā kiyā
lekin use zalīl kiyā ye burā kiyā
gul-dān meñ gulāb kī kaliyāñ mahak uThīñ
kursī ne us ko dekh ke āġhosh vā kiyā
ghar se chalā to chāñd mire saath ho liyā
phir sub.h tak vo mere barābar chalā kiyā
koThoñ pe muñh-añdhere sitāre utar paḌe
ban ke patañg maiñ bhī havā meñ uḌā kiyā
us se bichhaḌte vaqt maiñ royā thā ḳhūb-sā
ye baat yaad aa.ī to pahroñ hañsā kiyā
chhoḌo purāne qissoñ meñ kuchh bhī dharā nahīñ
aao tumheñ batā.eñ ki 'alvī' ne kyā kiyā