koī mausam ho bhale lagte the
din kahāñ itne kaḌe lagte the
ḳhush to pahle bhī nahīñ the lekin
yuuñ na andar se bujhe lagte the
roz ke dekhe hue manzar the
phir bhī har roz na.e lagte the
un dinoñ ghar se ajab rishta thā
saare darvāze gale lagte the
rah samajhtī thiiñ añdherī galiyāñ
log pahchāne hue lagte the
jhīleñ paanī se bharī rahtī thiiñ
sab ke sab peḌ hare lagte the
shahr the ūñchī fasīloñ vaale
Dar zamāne ke pare lagte the
bāñdh rakkhā thā zamīñ ne 'alvī'
ham magar phir bhī aḌe lagte the