binā murġhe ke par jhaTaktī haiñ
murġhiyāñ dar-ba-dar bhaTaktī haiñ
nazm itrā.e to bajā bhī hai
bī ġhazal kis liye maTaktī haiñ
ek hāsid kī ek nāqid kī
sar pe talvāreñ do laTaktī haiñ
ye bhī shā.er haiñ in ke bāloñ meñ
fikr-o-fan kī jueñ bhaTaktī haiñ
'alvī' ye goliyāñ haiñ shohrat kī
ye gale meñ kahāñ aTaktī haiñ